~*~Carry Forward~*~
phir saal ki akhri sham hui
phir waqt ki dor mein girha lagi
lo waqt hua phir gin-ne ka
gaye saal ki khushyon k lamhey
aur gayee ruton k sab aansoo
aur waqt ki kaali aandhi mein
hamen raah dikhatey sab jugnu
aur bhooley kaun sitaron ko
un naye puraney yaaron ko
jo her mushkil mein saath rahey
jo sab rahon per sath chaley
Aur iss ginti mein shamil hein
jo jaag k kaatin raaten sab
jo sajni se kin baaten sab
jo maan ney sunaayee woh lori
aur saari duaen behna ki
aur apney des se doori bhi
jo hijr bani, majboori bhi
ger tumko lagey k yeh sab kuchh
gaye saal k saath na reh jaye
to yeh sab kuchh
tum gin-na apni ungliyon pe
phir muthi ko bund ker lena
aur pehli subha naye saal ki ho
to khol k apni muthi ko
in sab ko bhi sath hi le chalna





















Leave a reply